Amazon par product achha hone ke saath listing ka search mein dikhna bhi zaroori hai. SellSaathi aapke Amazon seller account ka roz ka kaam sambhalta hai: listing, keyword research, pricing, orders aur returns.
Hum kya kya sambhalte hain
- Listing aur catalog: title, bullet points, description aur images ki guideline ke hisaab se.
- Keyword research aur SEO: customer jo shabd search karta hai, woh listing mein sahi jagah.
- Pricing: fees aur margin dekh kar price set karna.
- Orders: dispatch time par ho, taaki account metrics theek rahein.
- Returns aur claims: return track karna aur zaroorat par claim.
- Daily update: SellSaathi app mein aapke store ke group mein.
Fees
₹5,000 per month. Kaam shuru karne se pehle hamari team call karke aapka account samjhegi.
Hum sales ka pakka vaada nahi karte. Hum roz ka kaam sahi aur time par karte hain.
Aksar puchhe jaane wale sawal
Kya aap Amazon ads bhi chalate hain?
Abhi hamari service account management ki hai: listing, pricing, orders, returns aur claims. Ads ke baare mein call par baat kar sakte hain.
Kya GST zaroori hai?
Haan, SellSaathi abhi sirf GST wale sellers ke saath kaam karta hai.